"Har kisi ki chahat hoti hai unki skin hamesha saaf chamkdar aur glowing dikhe | lekin pradushan , galat khan-paan , neend ki kami aur stress ki vajah se chehra dull aur bejan lagne lagta hai | agar aap bhi apni skin ko natural tarike se glowing banana chahte hai to in aasan tips ko jarur apnaye|"
1. Rojana paryaapt paani piye-
Pani hamari skin ke liye sabse achha natural drink hai , din mai kam se kam 7-8 glass pani jarur pina chahiye , jisse sharir se toxin nikalte hai aur chehra naturly glow karne karne lagta hai|
★Subah khali pet gunguna pani pine ki aadat dale|
★Nariyal pani aur green tea bhi skin ko hydrate aur detox karne mai madad karte hai|
2. Healthy diat le-
Jaisa khaoge ann , vaise hoga man aur tan "- agar aap fast food aur oily khana khate hai to skin dull aur pimple wali ho jayegi glowing skin ke liye bahar ke fast food ko kam kren aur taje fal , sabjiya, salad, aur dry fruits ka sevan kren|
★ Diat main taje fal jaise papita , anaar, santra, aam, shamil kren|
★ Hare pattedar sabjiya aur salads rojana khaye |
★ Chini aur junkfood kam khaye |
3. Neend puri le -
4. Home remedies apnaye-
Natural cheje hamesha skin ke liye safe aur asardar hoti hai |
★ Besan aur dahi ka facepack-
Skin ko cleen aur bright karta hai|
★ Alobera gel-
Skin ko hydrate karta hai aur natural glow deta hai|
★ Haldi aur doodh -
Chahre ki rangat nikharta hai aur pimples bhi kam karta hai
★Shahad aur nimbu-
Dullness htakar freshness lata hai|
5. Sunscreen lagana na bhule -
★ Bahar nikalte samay hamesha SPF 30 ya usse jayda wala sunscreen lagaye|
★ Har 3-4 ghante mai sunscreen lagye|
★ scarf , topi aur sunglass ka use kren|
6. Exersice aur yoog -
Rojana yoog aur exersice karne se blood circulation behatar hota hai jisse chahre par natural glow aata hai |
★ Rojana 20-30 min walk ya yoog kren|
7. Skin care routine apnaye-
★ Subah aur raat mai facewash se chahra saaf kre|
★ Toner aur moisturiser ka use kren|
★ Hafte main 1-2 baar scrub karke dead skin hataye |
★ Mack-up karne ke baad hamesha skin ko achhe se cleen kren|
8. Buri aadato se duri-
Results-
Glowin skin kisi costly products ka jaadu nhi hai balki aapki dincharya aur lifestyle ka natija hai | agar aap healthy diat , paryapt pani , achhi neend aur natural home remedies ko apnate hai , to aapki skin hamesha healthy aur bright dikhegi |
Yaad rakhe :- " healthy skin is a reflection of a healthy lifestyle."
0 टिप्पणियाँ